Tum aaye ho na shab-e-intizaar guzri hai..

Advertisement Links
 

Tum aaye ho na shab-e-intizaar guzri hai,
Talaash main hai sehar baar baar guzri hai,

Junoon main jitni bhi guzri bekaar guzri hai,
Agarche dil pe kharaabi hazaar guzri hai,

Woh baat saarey fasaane mein jis ka zikr na tha,
Woh baat un ko bohat naagvaar guzri hai,

Na gul khile hain, na un se mile, na mai pee hai,
Ajeeb rang main ab ke bahaar guzri hai,

Chaman pe ghaarat-e-gulcheen se jaane kya guzri,
Qaffass se aaj sabaa beqaraar guzri hai..