Shaheedon K Muzaaron Tak Chalein Gai

Advertisement Links
Shaheedon K Muzaaron Tak Chalein Gai
Zara Pee Lein Sitaaron Tak Chalein Gai

Suna Hai Ye B Rasm-E-Aashki Hai
Hum Apnai Gham Gusaaron Tak Chalein Gai

Chalo Tum B Safar Acha Rehai Gha
Zara Ujrai Diyyaron Tak Chalein Gai

Junoo Ki Wadion Sai Phool Chunn Lo
Wafa Ki Yaadgaaron Tak Chalein Gai

Haseen Zulfon K Parcham Khol Deejiye
Mehkai Laala Zaaron Tak Chalein Gai

Chalo “Saagar” K Nagmai Saath Le Ker
Chalakti Joye Baron Tak Chalein Gai