Kuch Baatein Kuch Yaadaien

Advertisement Links
Jinko Byan Hum Kar Na Paye Jinko Juba Par Hum Na Laye ,
Kuch Baate Yaisi Hoti Hai Kuch Yaadein Yaisi Hoti Hai

Jinko Dekho To Lagta Hai Aas Paas Koi Rahta Hai
Dil Ke Makan Mein Rahne Wali Kuch Sogaatein Yaisi Hoti Hai,

Yaadoin Ke Sang Dur Nikal Kar Yaadoin Ke Sang Sang Mein Chal Kar
Laut Ke Jab Aate Hai Who Pal Kuch Tanha Saansein Hoti Hai,

Man Mein Kuch Ummeed Lagaye Humse Milne Jab Who Aaye
Man Mein Jo Rah Gai Thi Dab Ke Kuch Baatein Yaisi Hoti Hai,

Such Hai Koi Anjaana Sa Lagne Lagta Hai Pahchana
Na Jaane Kyun Kuch Baatoin Mein Halate Yaisi Hoti Hai