Jeene wale qazaa se darte hain..

Advertisement Links
 

Jeene wale qazaa se darte hain,
Zehar pee kar davaa se darte hain,

Zahidon ko kisi ka khauf nahin,
Sirf kaali ghataa se darte hain,

Aap jo kuch kahen humen manzoor,
Naik bande khudaa se darte hain,

Dushmanon ke sitam ka khauf nahin,
Doston ki wafaa se darte hain,

Azzam o himmat ke bawjood shakeel,
Ishq ki ibtidaa se darte hain..