Dard E Duniya Main

Advertisement Links
Dard E Duniya Main Mein Nahin Koyi Akeli Naweli Hun
Mera Man Magar Kehta Hain Kii Mein Ekk Ajeeb Paheli Hun

Jinke Kadmon Ke Dhul Main Mera Sansar,Mera Swarg Hain
Ounhi Ke Haanthon Se Nirdoshi Ho Kar Bhii Nark Jheli Hun

Jin Ko Meine Apni Zindagi Ke Chaman Kaa Baagbaan Jaana
Ounki Nazron Main Naa Gulaab Hun Naa Koyi Chameli Hun

Ounka Kissi Aur Par Lakhon Karam Aur Mujh Par Sirf Sitam
Ne Mujhe Yakeen Dilaaya Kii Jahan Main Bilkul Akeli Hun

Jo Sochti Houn Ouss Main Kya Hai Jo Mujh Main Nahin Hai
To Ehsaas Hota Hai Ki Bin Lakeer Kii Ekk Khaali Hatheli Hun

Khaamosh Raaton Main Ounke Dil Ki Dharkanein Kehti Hein
Wo Haseen Tajmahal Hai Aur Mein Oujri Houi Haweli Hun

Mere Jigar Kaa Tukda Kahin Mujh Abhaagi Se Bichar Naa Jaaye
Iss Liye Majbouran Mein Bani Apni Hii Sautan Kii Saheli Hun