Unko Hasil Kyonke Hoe Jag Mein Faraagh-E-Zindagi

Advertisement Links
Unko Hasil Kyonke Hoe Jag Mein Faraagh-E-Zindagi
Gardash-E-Iflaak Hai Jis Kon Ayaag-E-Zindagi

Ai Azizaan Sair-E-Gulshan Hai Gul-E-Daagh-E-Alam
Suhbat-E-Ahabaab Hai Maani Mein Baagh-E-Zindagi

Lab Hain Tere Filhaqiqat Chashma-E-Aab-E-Hayaat
Khizr-E-Khat Ne Us Son Paaya Hai Suraagh-E-Zindagi

Jab Son Dekha Nain Nazarbhar Kaakul-E-Mushkin-E-Yaar
Tab Son Jion Sumble Pareshaan Hai Dimaagh-E-Zindagi

Aasmaan Meri Nazar Mein Kuba-E-Taarik Hai
Gar Na Dekhun Tujkon Ai Chashm-O-Chiraagh-E-Zindagi

Lala-E-Khunin Kaffin Ke Haal Son Zaahir Hua
Bastgi Hai Khaal Son Khubaan Ke Daagh-E-Zindagi

Kyon Na Howe Ai Wali Roshan Shab-E-Qadar-E-Hayaat
Hai Nigah-E-Garam-E-Gul Ruan Chiraagh-E-Zindagi