Din raat mere seeney mein..
Pharr’pharrata hai jo din raat mere seeney mein,
Ab yehi aik parindaa hai rehaa karne ko..
Pharr’pharrata hai jo din raat mere seeney mein,
Ab yehi aik parindaa hai rehaa karne ko..
Un ki aankhon mein bhi halki si nami rehti hai,
Baat karte hain jo auron ko hasaane ke liye..
Hum ko to be’sawaal mile be’talab mile,
Hum woh nahin hain saqi ke jab mangen tab mile..
Hum wo ana parast hain jo har k b kehte hain
wo manzil hi badnaseeb thi jo hum ko pa na saki
Khawab lafzo ma dhal nhi sakte
Kash!ankhein para kare koi
Humko bhulany pr hy kahan usko ikhtiyar
kitna haseen gumaan mere paas reh gya
kya sarokar ab kisi se mujhe
vasta tha to tha tujhi se mujhe
behisi ka bhi ab nahi ehsaas
kya hua teri beruKhi se mujhe
maut ki aarzu bhi kar dekhu
kya ummide thi zindagi se mujhe
phir kisi par na aitbaar aaye
yu utaro na apne ji se mujhe
tera Gham bhi na ho to kya jina
kuch tasali hai dard hi se mujhe
kar gaye kis qadar tabah
dushman, andaaz-e-dosti se mujhe